Sunday 20 September 2015

Maa

Kehte hain Jo log zameen chorrdete hain Vo aasmaan mein basste hain
Aaj bhi aasmaan mein dekhta hoon Toh Ek tara nazar aata hain
Jo meri hassi Dekhke chamak uthta hain aur aasun dekhke dhal jaata hain
Aisa Kya hain Uss taare mein , Aisa kon hain mere aasmaan mein
Itna pyaar Toh kisi Apne ka hee hoga Jo zameen chorrkar bhi meri zameen ka dhyaan Rakhta hain
Itna pyaar Toh meri maa ka hee hoga Jo uss taare mein bassta hain

                                                                                                     - Shantanu

Wednesday 29 July 2015

Humne unki gali se guzarna chorrdiya
par unhe dil se na nikal paaye
Humne unki baahon mein aana chorrdiya
par kisi aur ki baahon mein bhi na aa paaye
Humne unka deedaar karna chorrdiya
par unki tasveer na chupa paaye
Unhone humaara saath toh chorrdiya
par hum unhe na chorr paaye
                                     - Shantanu

Friday 24 July 2015

Main roz khud se rooth jati hun
Main roz khud ko mana leti hun
Main yun hi roz toot jati hun
Main roz khud ko bana leti hun
Main roz darr ko nikalti hun khud se
Main roz uske naye ghar bana deti hun
Roz puchti hain raahen raasta mujhse
Main roz unko galat pata bata deti hun
Roz zindagi puchti hai kaisi hun main
Bas zinda hun kisi tarah use jata deti hun...
Anurvi 

Monday 20 July 2015

Jaane kaun sa mod
Le aya zindagi ko is dagar pe
Kab se hum dhoondne lage
Sooraj ke nishaan, baadlon ke piche
Kab se pal itne kab reh gaye
Ki subah ko sote aur raaton mein jag jaane lage
Kab se itna mudhkil ho gaya
Hothon mein hansi khojna
Kab se itna aasan ho gaya
Khud ko bhoolkar, bhula kar sochna
Kab se itni tez ho gayi zindagi ki raftaar
Ki samay se bhi aage chala aaya ye sansaar
-Anurvi


14November11

Wednesday 1 July 2015

Ek aisa jahaan

Ek aisa jahaan

Kahin toh hoga aisa ek jahaan
Sapne sach hote hon jahaan

Koi raasta koi sadak
Toh zaroor hai
Kahin na kahin
Jo le jaaye uss jahaan mein
Jahan sapne lete hain saanse

Haan
Hai aisa ek jahaan
Aur kahin nahin
Par yahan

Is pal mein kahin chhipa
lakeeron mein hai likha
Aankho ne sapno se

Yahan hai ek jahan
Sapne sach hote hain jahan

Is jahaan mein hi jannat hai
Kyunki is jahan ki mannat hai
Khuda se
Jo har pal paas hai
Har pal saath hai

Yahin hai vo jahan
Is dil mein yahan
-Anurvi


written on: 21October11

Saturday 25 April 2015

WHO?

Who is gonna save you when I'm gone
Who is gonna make you smile when you cry
Who is gonna keep you strong when you're weak
Who is gonna adore you when I'm gone
Who is gonna warm you when you're cold
Who is gonna stop you when you're wrong
Who is gonna love you when I'm gone
Who is gonna be there when you'll be alone
Who is gonna watch you sleep
Who is gonna shoulder you when you weep

I'll still be there even If I'm Gone
                                                        -Shantanu

Tuesday 24 March 2015

Ab Dil Toh hain musafir

Ab dil musafir hain 

Na Hain koi thikaana

Kabhi kisi par aata hain

Kabhi kisi ka hain deewana 

Kya Karna Koi nahi yeh hain samjhaata

Pyaar Karu , Ya chalte rahu

Kyunki Ab dil Toh hain Musafir

Na hain koi thikaana

Kabhi uski yaad aati hain 

Kabhi iski baatein

Kabhi uski Tasveer Aati hain

kabhi iski aahatein 

Par Kya Karu yaaro 

Ab dil Toh hain musafir

Na hain koi thikaana 

                                -Shantanu